Inspiration
Yeh Muamla Koi Aur Hai, Najam Shiraz
na tera Khuda koi aur hai
na mera Khuda koi aur hai
yeh jo raaste hain juda juda
yeh mamla koi aur hai
kyoun nahin dekhta jahan mein
har she la bedud hai
jab uthi nigah to jhuk gayi
yeh mamla kuch aur hai
jise dhoondhta hai yahan wahan
dil mein tere maujood hai
jise mil gaya ek baar woh
usi dil mein asr-e-wajood hai
jo parhadiya insaan ko
rehman hai raheem hai
jab paas thi toh kitaab thi
parhaa diya toh Quran hai
phir ibaadaton ke hain silsile
phir kurbatoh ke daur hain
na tera Khuda koi aur hai
na mera Khuda koi aur hai
yeh jo raaste hain juda juda
yeh mamla koi aur hai
0 Comments:
Post a Comment
<< Home